Nigahein Naaz Ne Parde Uthaye Hain Kya-KyaNigahein naaz ne parde uthaye hain kya-kyaHijaab ahle mohabbat ko aaye hain kya-kyaJahaan mein thi bas ek afwah tere jalwon keeCharag-e-dair-o-haram jhilmilaein hai kya-kyaKahin charag, kahin gul, kahin dil barbaadKheramein naaz ne kitne uthaye hain kya-kyaPayamein husn, payamein junoon, payamein fanaTeri nigah ne phasane sunaye hain kya-kya'firaq' raahe wafa mein sabak ravi teriBade badon ke kadam dagmagaein hain kya-kya
Khayaal-e-Husn Mein Yun Zindagi Tamaam HuiKhayaal-e-husn mein yun zindagi tamaam huiHaseen subah hui aur haseen shaam huiBaqaar-e-ishq bas ab sar jhuka de kadamon parUdhar se tere liye sabaqat-e-salaam huiHar ek apni jagah khush har ek yahi samajhaNigah-e-khaas b-tarz-e-nigaah-e-aam huiNazar mili to tabassum raha khamoshi parNazar phiri to zara himmat-e-kalaam huiBas ab to tum ne mohabbat ka le liya badlaMaaf karna jo takleef-e-inteqam huiHai dekhne hi ka waqfa jise samajhte hain'raza' wo dhoop chadhi din dhala wo shaam hui
Koi Naata Na Mohabbat Ke Barabar NiklaKoi naata na mohabbat ke barabar niklaToot kar chaha jise woh sitamgar niklaYun to har lehar se thi apni shanasayi bahutSamjha sahil jise woh gham ka samandar niklaRooh mein jhaanka to yeh mehsoos hua mujh koItna zarkhaiz jo lagta tha woh banjar niklaNarmi hathon mein na garmi saanson mein magarMaine chuu kar use dekha to woh patthar nikla
Na Ho Yaa Rabb Aisi Tabiyat Kisi KeeNa ho yaa rabb aisi tabiyat kisi keeKi hans hans ke dekhe museebat kisi keeJafaa un se mujh se wafa kaise chhuteYe sach hai nahi chhutati aadat kisi keeAchhoota jo gham ho to is mein bhi khush hunNahi mujh ko manzoor shirkat kisi keeHaseeno kee dono adayein hain dil-barKisi kee haya to shararat kisi keeMujhe gum-shuda dil ka gham hai to ye haiKe is mein bhari thi mohabbat kisi keeBahut roye hum yaad mein apne dil keeJahan dekhi nanhi si turbat kisi kee
Mohabbat Ka Imtihan Aasan NahiMohabbat ka imtihan aasan nahiPyar sirf pane ka naam nahiMuddatein beet jati hain kisi ke intezar meinYe sirf pal-do-pal ka kaam nahi
Mohabbat Kya Hai Do Lafzon Mein Tumhe Batata HoonMohabbat kya hai do lafzon mein tumhe batata hoonTera majboor kar dena aur mera majboor ho jaana